Gali ka Kutta
Zindagi hai kya, ik majboori;
Ismein hai zillat, ismein bhukhmari;
Ye hai sachai, na ki kahani;
Kabhi kabhi milta bhi nahin mujhe paani.
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Ratoon kok main, jag jag kar;
Karta hoon gali ki rakhwali;
Fir bhi main kissi ko na bhata,
Na koi puchkarta, na pehchanta
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Gali ke sab logo ko main pehchanta;
Kabhi na unpe bonka, na hee kaata.
Bikhariyon na gali mein koi aata,
har koi fir bhi mujhe maarta
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Jab deta hai mujhe koi bachi huyi roti,
hilata poonch ko main apni.
Fir bhi bhi mujhe hoo kyon satate,
Isse poonch pe bandhte hoo pathake
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Rehne ka na mera koi thikana;
Dukhi hoke gaata hoon main gaana
Kabhi apno ke ghar mein ghus jaata;
Laat maar maar ke bhagaya jaata.
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Poochta hoon bhagwaan tumse ye sawaal;
Kyon banaya tune mera itna bura haal.
Kaise din guzre, kaise kate ratiya;
Milti bhi nahin ik kutiya
Zindagi mein meri aisa hi hai hota
Kyonki main hoon, main hoon, main hoon ik
Gali ka kutta, gali ka kutta
Par jaanta hoon main ye baat;
Gali ke baahar, na meri koi aukat.
Jaisi bhi hai, gali hai basera.
Yehi duniya, yehi ghar hai mera
Zindagi mein meri aisa hee hai hota
Pehle kehte the mujhe, gali ka pilla
Abb hoon main, gali ka kutta
Gali ka kutta, gali ka kutta
-Jasdeep Mandia
1 Comments:
ha ha..abey sachhi mein ye poem tere alaawa koi likh bhi nahi paatha..funny man..
Post a Comment
<< Home